Monday, October 22, 2018

Kiya aap ko Pata Hai Aap K Baal qu Girty Hyn Parhiye Bahut Kuch is Article Mein

Chemicals That Cause Hair Lose

Bahut Saari Companies Daily New Brands k Shampoo aur Sabun bana rahi hen aur wo tamam shampoo aur sabun normally market se mil jatay hain aur hum use karna shuru kardety hen.

Aisi tamam companies ki products rozana new chemical formula se tayyar shuda sabun aur shampoo na sirf hamary baal balky hamari skin k liye b khatarnak sabit hoty hen jinka hamyn pata b nahi chalta.

Aisy afrad jo daily weakly ya monthly basis par shampoo aur sabun soap change krty rehty hen ya new new formula k oil use krty rehty hen ya mukhtalif doctors k mashoron par amal krty rehty hen un afrad k baal ziyada girna shuru hojaty hen.


Iski waja yehi hai k wo ksi ek chez par nahi rehty aur jo shampoo aur soap ya formula wo change krty hen unhi ki waja se unky bal aur unki skin par asar parta hai.


Ye article pora parhyn neche un tamam chemicals k baray men bataya gaya hai jo tamam shampoo aur cosmetics me use kiya jata hai unky hazards khatrat kiya hen nechy parhyn


Aur Inky ilawa Weakness, Weather Protein ki Kami hona aur Bad Diet Khany ka Schedule ek na hona se b kafi nuqsan hota hai.











Imidazolidinyl Urea

Ye ek Chemical ka naam hai jo shampoo aur cosmetics ki hair products me use kiya jata hai
Ye antimicrobial hota ha yani isky use krny se germs nahi lagty. Lekin yehi ek sab se bari waja ban jata hai bal girny ka, wo aise k ye chemical balon aur sar ki khopri me kharish, khujli, irritation aur alergi paida kardeta hai jiski waja se baal girna shuru hojaty hen, aur ye chemical tamam hair products aur shampoo me paya jata hai.


Sodium Lauryl Sulfate

Ye chemical balon me sakhti aur tamam mati oil aur khushki ko dur krny me help karta hai
Research se pata chala hai k ye chemical sar ki skin se andar chala jata hai aur sar ki cell membrane aur proteins ko nuqsan pahochata hai aur sath sath ye chemical oils ko khatma krdeta ha aur balon ko khushk bana deta hai jiski waja se baal kamzor ho kar tootna shuru hojaty hen aur gir jaty hen


Parabens

Ye chemical endocrine yani harmones ko khoon blood me kharij karty hen aise harmones jo weak hojaty hen, is parabens me ek khatarnak estrogen paya jata hai jo harmones ko imbalance krta hai aur uski waja se tumor hojata hai aur ye ziyada tar aurton me hota ha jiski waja se Thyroid aur Pituitary gland ko affect krta hai aur phir baal girna shuru hojaty hen ye b bahut se cosmetics aur shampoo me paya jata hai

Propylene Glycerol

Ye b ek chemical hai jo hair products aur cosmetics me use hota hai, 
aur ye balon ko chamkdar aur naram banany me kam ata hai. Environmental & Health ki tarf se Propylene glycerol ko bahut he khatarnak qarar diya gaya hai ku k ye jism aur balon me kharish barhata ha aur jism me zehr ki quantity barhata hai jiski waja se bal kamzor hokar girna shuru hojaty hen.


Fragrance

Ye chemical shampoo aur cosmetics me khushbu aur inspring k liye use kiya jata hai isky side effects ye hain k ye bahut saray harmones par asar andaaz hota ha jese k hormones like estrogen and testosterone jiski waja se dermatitis ya skin par kharish balon me kharish hona shuru hojati hai.

Sodium Chloride

Ye chemical shampoo me use kiya jata hai ta ky balon ki layer thickness moti hojai aur aur balon ko khush krta hai jiski waja se ball kamzor hojaty hen aur fir girna shuru kr dete hen.

Dear All ye to chand chemicals ki information thee jo mene mukhtalif high class ki websites se nikali hen, lekin sochen isy b zyada chemicals shampoo aur cosmetics me use horahy hen jo k kuch afrad k liye sahi sabit hoty hen par kafi logon k liye bura sabit hoty hen to please ap care kren.

Koshish kry desi chezen use kren jesa k ye neche ek formula bataya gaya ha jo k ap k liye bahtar sabit hoga ye ap ghar me khud bana skty hen.

Ye formula meny khud use kiya hai aur Alhamdolillah mere ball girna bilkul band hogai hen

Sab se Pahly ap Pantene shampoo use krna start kry sirf Pantene Anti Hair Fall. isky ilawa aur koi pantene nahi, usky baad ye nechey oil likhy huy hen ek choti choti bottle magwai aur ye sab oil kisi ek bari bottle me mix krlyn aur last me Fresh Aloe Vera likha hua ha iska matlab kahi se taza aloe vera kaat kar uska paani us oil ki bottle me dal len aur ye mixture weak me 3 bar raat sony se pahle massage kryn. 
Insha Allah ek weak k andar andar result pata chal jayga aur ap duain dengy sb mjy.

  • Almonds Badam Oil
  • Levenger Oil
  • Nigella seeds or Kalunji Seeds Oil
  • Horsetail plant oil or Sars Ghaach oil
  • Aloe Vera Oil or Kuwar Gandal Oil
Ye Mera YouTube Channel Link Hai Aur Mera Facebook Page Lazmi Like and Subscribe Kary ku k is blog site par agla tutorial aur article Face black spot par hoga.
plz subscribe my YouTube channel and like Facebook page thanks


No comments:

Post a Comment